Posts

Showing posts from January, 2009

Yeh Viraniyan !!!!!!!!!

Charo taraf laga yahan logon ka mela hai.. Phir bhi aaj har shakhs akela hai… Kehne ko to hai logon ka sath Lekin gehrayion se dekha jaye to hai sirf viraniyan sath, Yeh viraniyan khud se hi takrati hai.. takra takra ker shor machati hai.. Aapke wajud ko yeh ehsas karati hai.. ki dekh.. tu nahi akela yahan !! Teri viraniyan hai yahan tere saath !!!!! Charo taraf laga….. Mehsus yeh har aalam mein ho raha hai Shayad kabhi kuch saal pehle jo dil tuta tha… wo abhi tak ro raha hai ….. Us dil ko uske apno ne hi dukhaya tha… Jisne us waqt sath choda tha wo to apna hi saya tha ….. Kya kahen hum??? Aaj ka waqt hai bahut berehum.. Jisme humsaya hi sath chod deta hai.. Koi apna hi apno ka dil tod deta hai.. Na milti hai zuban jahan lafjo ko.. aise aalam mein her shakhs aaj reh raha hai.. Tabhi to har pal har lamha yeh dil kehta hai…. Charo taraf laga yahan logon ka mela hai Phir bhi aaj har shakhs akela hai !!! !