Posts

Showing posts from January, 2011

Maut Aur Zindagi ..

Maut aur zindagi ajab paheli hai.. Jo kabhi na mil sake yeh wo saheli hai.. Agar zindagi hai to maut nahi aur maut hai to zindagi nahi.. Dono ki hai alag dastan, dono hai adhal aur akeli.. Dono hai har waqt bhari bhari si, ghiri hui si Lekin phir bhi dono ka koi sath nahi.. Hai dono hi se shuruat aur ant lekin bhir bhi koi ehsas nahi... Maut aur zindagi... Dono ka wajood is duniya mein sampoorn rup se chaya hai.. Dono ki aut mein har shaks har chehra samaya hua hai.. Agar gaur se dekha jaye to har vyakti dono se hi ghabraya hua hai.. Jo zindagi chahta hai use maut haasil hoti hai .. Jo maut mangta hai zindagi har pal uska sath deti hai.. Maut aur zindagi.. Aaj sabhi ke charo aur dono ka vyapar chal raha hai.. Koi maut kharid raha hai, koi zindagi ko bech raha hai.. Lekin phir bhi maut aur zindagi kisi ke bas mein nahi hai.. Yeh wo to roop hai jo aaj Yatharth mein nahi hai.. Maut zindagi se ghabrayi hui hai,, aur zindagi maut per chayi hui hai.. Maut ne kuch yun f

Udaas Aankhein ...

Jo aankhein kabhi thi pyar se bhari hui Aaj humne unhe khali aur veeraan dekha.. Jisne toda tha dil .. uske liye hi rote hue dekha.. Abhi bhi chupke se karti hein wo uska deedar Na jane kyun abhi bhi unko rehta hai uska intejaar Humne bahut samjhaya use ki ab wo nahi wapis aane wala Tute hue dil ko ab nahi wo jodne wala.. Wo pyar nahi sirf ek majaak tha Jiska tujhe na kabhi ehsaas tha Humne kaha... Pyar ab kahan najar aata hai.. aaj ki duniya mein logo ko sirf.. Dil todna aur dhoka dena hi aata hai.. Sabhi doston ne use bahut samjhaya tha Kabhi na karna kisi per aitbaar .. kabhi na karna tum kisi se pyar Phir bhi usne na mani humari baat.. Khud ko pyar ki dor mein is tarah se uljha liya Itna samjhane per bhi usne ulfat ko dil se laga liya.. Ki aaj hai wo khoi si.. lagta use dekh uski aankhein har pal hein roi si.. Jo kal chehchati thi aaj wo udaas najar aati hai.. Jo kal thi gungunati aaj wo sirf khamoshi ke sath najar aati hai.. Udaasi aur khamoshi pehle bhi

Ajnabi Parchayi

Ek ajnabi parchayi najar aayi... Jiski Muskurahat kahin kho gayi thi, labon se jaise juda si ho gayi thi Ab sirf khamoshiyan dikhayi deti hai.. uske tute dil ki ahaat sunai deti hai.. Kuch is kadar wo bheed se alag najar aayi, jiski aankhon mein sirf udaasi thi chayi.. Use dekh ker yeh mehsus hua, ki bhulna chah rahi thi wo kisi ko.. Na jane phir bhi kyun uski aankhein dhundti thi har pal usi ko?? Ulfat mein dubi hui nigahein bahut kuch chupa rahi thi Lekin nami se bhari aankhein sari kahani bayaan kare ja rahi thi... Tuta tha dil kuch is kadar uska, ki wo ho gayi thi bekhabar Reh rahi thi isi duniya mein lekin phir bhi nazar aayi wo sabse dur kuch is kadar... Sath reh kar bhi nahi thi wo sath.. Har pal aati thi uske tute hue dil ki awaaaj. Dekha humne sirf uski bheegi palakon ko Jin per na thi muskurahat un labon ko.. Jiske har pal mein dekhi thi humne gum ki parchaiii.. Pyar karne ki kya khub saja usne payi... Aye Khuda !! yeh mohabbat use kis rah per le aayi ???? Agar yahi rahein ul