Kya Ho Tum ...

Jindagi ki adhuri khwahish ho tum..
Jindagi ka ahem hissa ho tum..
Kya kahein kaise bayan karein hamare liye kya ho tum..

Bina wajah jo bana, wo pehla dost ho tum..
Bina jane jo bana wo pehla rishta ho tum..
Bina samjhe jo ban gaya wo jindagi ka hissa ho tum
Kya kahein kaise ..

Andhere palo ka ujala ho tum..
Band aankhon ka sapna ho tum..Khuli nazaro ka dhoka ho tum..
Tum dur hoker bhi paas ho .. aur paas hoker bhi dur..
Labo per kabhi bhi hansi la sakte ho tum..
Kabhi kabhi aankhon se aansu bhi girwa dete ho tum..
Khoi hui muskurahat ho tum.. shayad kahin hamare jeene ki wajah ho tum..
Kya kahein kaise..

Chupi hui dil ki tammna ho tum..
Har pal meri duao mein shamil ho tum..
Dil ki dhadkan ko badha sakte ho tum..hume humse chura sakte ho tum..
Bolte hui labo per khamoshi la sakte ho tum.. khamosh juban per alfajo ko la sakte ho tum..
Hume ye jahan bhulne per majboor kara sakte ho tum..
Kya kahein kaise …

Na samajh paye the ki jindagi ka anmol tohfa ho tum..
Sath nahi ho phir bhi na jane kyun lagta hai har pal sath ho tum..

Dur hue tumse to jindagi bejaan thi.. tumhe khoker puri kaynat jaise veeran thi..
Khuda ki inayat se phir se tumhe humne paya hai ..
Tumhare dil mein chupe hue apne pyar se shayad khuda ne hi milwaya hai..
Jante hein haq nahi hai koi.. phir bhi dil hi dil mein humne tumhare pyar ko sirf apna aur tumhe sirf hamara hi banaya hai ..
Socha tha aaj apne pyar ko alfajo ka naam de per isme bhi humne tumko aur sirf tumko hi paya hai ..

Shabdo mein nahi sama sakta yeh pyar humara tumhare liye..
Isliye aaj humne alfajo ko jindagi se khatam hota paya hai ..

Kya kahein kaise bayan karein hamari har saans ne tumhe kis tarah se khud mein basaya hai..
Aaj jab aaina dekhte hein to us aaine mein bhi humne sirf tumhe hi khada paya hai..


Agar ulfat ka naam ibadat de to shayad meri ibadat ho tum..
Kya kahein kaise bayan karein hamare liye kya ho tum..
Jindagi ki wo shaksiyat ho tum.. Jo hume kabhi bhi na mil payegi ..

Lekin ye duriyan hamare is pyar ko phir bhi kabhi khatam nahi ker payegi …. 

Comments

Popular posts from this blog

Aaj Phir....