Ishq
Ishq ko kehtein hein Khuda ki ibadat Ishq ko kehtein hein ruh ki jannat Ishq ko kehtein hein ki yeh Jeene ki wajah hota hai... Lekin humne jana hai ki ishq sirf ek saja hota hai .. Ishq ki gehraiyon mein dubna hai aasaan Ishq mein ker deta hai har aashiq apni jaan kurban Ishq ki mehfil mein laga rehta hai har pal mela.. Jisne bhi hai Ishq kiya.. Is duniya mein raha wo har dum tanha aur akela.... kehte hein, 'Ishq ko mehsus karna khuda ko pana hai ' Ishq mein dubna bhi paar ker jana hai.. Lekin humne jana hai ki .. Ishq ki gehraiyon mein sirf ruswaiyan hein.. Ishq ki madhoshiyon mein sirf nakamiyan hein.. Ishq mein khona khud ko bhul jana hai Ishq mein hona sab kuch kho jana hai.. Ishq karne mein tu khuda ko to paa jayega Lekin ye ishq tujhe har ek raaste per sirf akela kar jayega.. Jo wafa-e yaar hoga wo bewafai kar jayega Aur tu un mohabbat bhare raaston mein sirf ashq bahata hua reh jayega .. Ishq karna hai to khud se kar Duniya ko bhul kar tu si