Ishq

Ishq ko kehtein hein Khuda ki ibadat
Ishq ko kehtein hein  ruh ki jannat
Ishq ko kehtein hein ki yeh Jeene ki wajah hota hai...

Lekin humne jana hai ki ishq sirf ek saja hota hai ..

Ishq ki gehraiyon mein dubna hai aasaan
Ishq mein ker deta hai har aashiq apni jaan kurban
Ishq ki mehfil mein laga rehta hai har pal mela..
Jisne bhi hai Ishq kiya..
Is duniya mein raha wo har dum tanha aur akela....

kehte hein, 'Ishq ko mehsus karna khuda ko pana hai '
Ishq mein dubna bhi paar ker jana hai..

Lekin  humne jana hai ki ..
Ishq ki gehraiyon mein sirf ruswaiyan hein..
Ishq ki madhoshiyon mein sirf nakamiyan hein..
Ishq mein khona khud ko bhul jana hai
Ishq mein hona sab kuch kho jana hai..

Ishq karne mein tu khuda ko to paa jayega
Lekin ye ishq tujhe har ek raaste per sirf akela kar jayega..

Jo wafa-e yaar hoga wo bewafai kar jayega
Aur tu un mohabbat bhare raaston mein sirf ashq bahata hua reh jayega ..

Ishq karna hai to khud se kar
Duniya ko bhul kar tu sirf apne liye sanwar
Apni khwahishon ko anjaam de..
Apne Sapno ke pankho ko tu udaan de.

Bhul kar baki sab wajah sirf apne liye kuch kar ke tu dekh..
Kisi aur se to har koi ishq karke jeeta hai..

Sirf khud se Ishq karke ek baar jee kar to tu dekh !!!!

Comments

Popular posts from this blog

Aaj Phir....