Khamoshi !!


Aaj ek ajeeb si udaasi hai..
Shor mein bhi khamoshi payi jati hai..

Aaj phir se jindagi bejaan hai ..
Lagta hume ye sirf sajo-sajawat ka saamaan hai
Jise hum bina baat ke lekar ja rahe hein..
Sirf zamane ko dikhane ke liye saja rahe hein..

Aaj ek ..

Aaj phir se kisi ke adam ka ilm hua hai..
Jinhe kafan mein lipta hua dekh thi aankhein num..
Aaj unse guftugoo karne ka mann hua hai ..
Phir se unhe rubaroo karna chahte hein..
Hum bhi unke sath aaj dafan hona chahte hein…

Aaj ek..

Aaj phir se dhund rahi hai nigahein un khoi hui rahon ko..
Khojte hein hum aaj un bhule hue namo-nishano ko ..
Aaj jazbaton per humara ikhtiyaar nahi..
Zindagi keh rahi hai aaj use humse pyar nahi..
Hume bhi  is begarat zindagi se ab koi ikraar nahi..
Tanhayian phir se humara istiqbal karti hein..

Aaj ek..

Aaj hum khamoshiyon ke gesoo-daraaz mein khona chahte hein..
Bas bahut ji liya ..

Aaj hum Khuda ki pheloo mein istiraahat chahte hein… 

Comments

  1. Bahut accha likhte ho aap par ke yaad aa gaya ehsaas
    " Ye Malum hai mujhe ki Bahhut chaha hai zamane ne mujhko
    Main pasand to to sabko hun, magar sirf zarurat ki tarah"

    ReplyDelete
  2. Thnx for the appreciation .. Ur above lines are truly amazing.. nice ..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aaj Phir....