Ajnabi Parchayi

Ek ajnabi parchayi najar aayi... Jiski
Muskurahat kahin kho gayi thi, labon se jaise juda si ho gayi thi
Ab sirf khamoshiyan dikhayi deti hai.. uske tute dil ki ahaat sunai deti hai..

Kuch is kadar wo bheed se alag najar aayi, jiski aankhon mein sirf udaasi thi chayi..
Use dekh ker yeh mehsus hua, ki bhulna chah rahi thi wo kisi ko..
Na jane phir bhi kyun uski aankhein dhundti thi har pal usi ko??

Ulfat mein dubi hui nigahein bahut kuch chupa rahi thi
Lekin nami se bhari aankhein sari kahani bayaan kare ja rahi thi...

Tuta tha dil kuch is kadar uska, ki wo ho gayi thi bekhabar
Reh rahi thi isi duniya mein lekin phir bhi nazar aayi wo sabse dur kuch is kadar...
Sath reh kar bhi nahi thi wo sath..
Har pal aati thi uske tute hue dil ki awaaaj.

Dekha humne sirf uski bheegi palakon ko
Jin per na thi muskurahat un labon ko..
Jiske har pal mein dekhi thi humne gum ki parchaiii..
Pyar karne ki kya khub saja usne payi...

Aye Khuda !! yeh mohabbat use kis rah per le aayi ????

Agar yahi rahein ulfat hai.. to humne usse nahi guzarna
Kehna chahte hein hum.........
Gar hai pyar ka yahi sila to koi kabhi pyar na karna .....

Comments

  1. Hi Shilpi,

    Thanks for appreciating my post.

    You have also written some unique words on your blogs. Its good to express your feeling to someone via any mode.

    Please continue with your such post.

    After reading your blog I want to mentioned few lines here:

    "Kal raat meine aapne dil se bhi talooq tod diya,
    Kambhaqt usse bhol jane ki baat kar raha tha."

    Once again thanks and have a nice day ahead.

    Warm Regards
    Hemant Sharma

    ReplyDelete
  2. Kabhi saath chale nahin uske, lekin uske bina jeena mushkil hai
    Uski zaroorath nahin hai, lekin uske bina zindagi adhoori hai
    Aansun nahin bahaathe, lekin uski yadonme dil rotha hai
    Kya karun main, mujhe kyun aisa ajeeb sa mehsoos hotha hai!!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aaj Phir....