Papa ki ladli hun main!!!!!

Papa ki ladli hun main…
Badi hi shararti hun main…

Kehna na kabhi kisi ka maana,
Ziddi swabhav hai mera yeh maine maana..
Phir bhi papa ki pyari hun.
Chehkti mehkti si unke bagon ki kyari hun!!!!

Jhuli hun unki godi mein main, unhe khub sataya hai,
Lekin wo bhi kam nahi… bachpan mein tamator dikhaker unhone mujhe khub chalaya hai…

Papa ki ladli hun main..
Badi hi shararti hun main…

Bachpan ki wo lori aaj bhi yaad hai, papa aap ek baar gana shuru karo aapki yeh beti sone ko hardum tyyar hai!!!
Do aaj phir se apni hathon ki thapkiya.. sona chahti hun, bhulker sari galtiyan!!

Aaj phir se shararat karna chahti hun, neend nahi aa rahi phir bhi sone ka natak karna chahti hun…

Mana main hun bahut huthi, lekin phir bhi aapko bahut chahti hun.,,Aaj tak nahi aapse kuch manga , aaj mangna chahti hun,,

Papa aap jaldi se wapis aa jao, main phir se apna bachpan jeena chahti hun!!!!
Jo shararte kabhi nahi kari, wo sabhi ab karna chahti hun… aapki godi mein bethker phir se jhulna chahti hun..

IS BAAR AAPKO JANE KA MOKA NAHI DUNGI………..
JO KAMI PICHLI BAAR REH GAYI, WO PHIR KABHI NAHI HONE DUNGI!!!!!!!!

Comments

Popular posts from this blog

Aaj Phir....