ZINDAGI....

Zindagi mein tumhari kis prakar karun kavita..tum to khud ek kavita ho…kabhi na sukhne wali, tum wo sarita ho..

Uski chanchal lehron ki tarah tum bhi chanchalta lati ho, pal pal us chanchalta se tum sukh dukh vitrit kar jati ho, tum sampoorn jiwan ke bhawon ka anubhav ho deti, sab kuch ker vitrit, prapt nahi kuch karti .. phir bhi zindagi tum sath nahi deti….

Dur se reit ke kano mein sarita ke samaan paas aane per hoti ho tum ojhal, tumhari isi chanchalta se dhokha de jati ho tum, kuch samay pehle thi paas, shan bhar mein gayab ho jati ho tum….

Tum ho ek chapal sawar, shetrata hai tumhari ati vishal, aur kam hai mera vistar, seema nahi hai meri apaar, tabhi to hun tumhari asamarth rachiyita..
Kaho zindagi kaho mein tumhari kis prakar karun kavita tum to khud ek kavita ho.. kabhi na sukhne wali.. tum wo sarita ho……

Comments

  1. Hey dee...ye aapne likha hai...juts too good bohot accha hai :)

    ~Charu.

    ReplyDelete
  2. Kya baat hain ... inne vade vade lafzon ke saath ... Good one...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aaj Phir....