ULFAT....

Ulfat hui hai kuch is tarah se hume, ki haale dil bataya nahi jata...baatein karte hai is tarah se hum ki chah ker bhi kuch chupaya nahi jata...

Humne tanhaiyaon se ladker ye rahein ulfat banayi hai, lekin kya kahen e gumne dil..tune isme bhi sirf thoker khayi hai, yeh takdir kahein ya mukaddar ki isme sirf ruswai hai..daaman badhaya tha kabhi saath ka tune.. lekin aaj mili sirf judai hai.... Ulfat hui hai kuch is tarah se hume...

Chand se kahein ya sitaron se kahen.. har taraf se sirf khamoshi payi yeh,,, kaha us chand ne hume ye teri ulfat nahi ye teri tanhai hai, jo tujhe ulfat ki tarah nazar aayi hai.... rahein bikhri si thi teri jo tujhe manjil ban nazar aayi hai.... khol un aankhon ko jinhe tune band ker apni her nayi manjil banayi hai... Mehsus hoga yeh khulengi jab aankhen teri, teri ulfat duniya ko na kabhi pasand aayi thi na pasand aayi hai.... Ulfat hui kuch is tarah se hume...

Aaj soch liya hai is rahein ulfat ko chod denge hum, tode duniya jo mere khwabon ko usse pehle tujhe chod denge hum.. Chahe tu hai mera veham ya hai meri tanhai.. Chahe mile khushiyan chahe mile judai.. na denge koi aur naam ise hum jo duniya chahti hai.. Is tute hue khawab ko wo aur modna chahti hai... Isliye aaj humne ise chod diya rahein wafa ka muhn mod diya.... ab na raha koi wajood na raha koi ehsas... Phir bhi kahenge hum aakhri pal tak yahi baat ki....

ULFAT HUI HAI KUCH IS TARAH SE , KI HAALE DIL BATAYA NAHI JATA..BAATEIN KARTE HAI IS TARAH SE KI HUM KI CHAH KER BHI KUCH CHUPAYA NAHI .......

Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aaj Phir....